Huzoor Jante Hain Naat Lyrics Download Free and Naat Lyrics in Roman Urdu of Huzoor Jante Hain lyrics Naat are provided in Three Languages. Owais Raza Qadri performs Huzoor Jante Hain Naat with his renowned, melodic voice, which is adored by millions of listeners worldwide. In order for you to sync with the Naat lyrics, I’ve also embedded the YouTube video following the Best Naat lyrics.
Find The Lyrics to Your Favourite Naat Collection in Many Languages.
Huzoor Jante Hain Naat Lyrics
Naat Name | Huzoor Jante Hain |
Recite | Owais Raza Qadri |
Writer | Unknown |
Producer | Unknown |
Recorded | Unknown |
Category | Naat |
Released Date | Mar 9, 2018 |
Naat Lyrics and Translate in Roman Urdu Huzoor Jante Hain
Jo Ho Chuka Hai Jo Hoga, Huzoor Jante Hain
Teri Aata Say Khudaya, Huzoor Jaante Hain
Khuda Ko Dekha Nahin Aur Eik Maan Liya
Ke Jantay Thay Sahaba, Huzoor Jantay Hein
Munafiqoon Ka Aqeeda Woh Gaibdaan Nahin
Aur Sahabiyoon Ka Aqeeda, Huzoor Jantay Hain
Aie Ilm E Ghaib Kay Munkir Khuda Ko Dekha Hai?
Aur Tujhay Bhi Kehna Padega, Huzoor Jante Hain
Khabar Bhi Hai? Ke Khabar Sabki Hai Unhein Kab Say
Ke Jab Na Ab Tha Na Kab Tha, Huzoor Jante Hain
Kai Unke Haath Mein Kya Kya Tujhe Khabar Na Mujhe
Khuda Nay Kitna Nawaza, Huzoor Jante Hain
Woh Mominoon Ki To Janoon Say Bhi Kareeb Huye
Kahan Say Kisnay Pukara, Huzoor Jante Hain
Isiliye To Sulaya Hai Apne Pehlu Mein
Ke Yaar E Ghar Ka Rutba, Huzoor Jante Hain
Umar Nay Tan Say Juda Kar Diya Tha Sar Jis Ka
Woh Apna Hai Ke Paraya, Huzoor Jante Hain
Nabi Ka Faisla Na Maan Kar Woh Jaan Say Gaya
Mizaaj Umar Ka Hai Kaisa, Huzoor Jante Hain
Wohi Hai Paikar E Sharm O Haiya O Zul Nuraian
Maqaam Unki Haya Ka, Huzoor Jante Hain
Hain Jiske Moula Huzoor Uske Hain Ali Moula
Abu Turab Ka Rutba, Huzoor Jante Hain
Yeh Khud Shaheed Hain, Betay Nawasay Potay Shaheed
Ali Ki Shaan E Yagana, Huzoor Jante Hain
Main Unki Baat Karoon Yeh Nahin Meri Auqaat
Ke Shaan E Fatma Zahra, Huzoor Jante Hain
Jina Mein Kaun Hain Sardaar Nojawanoon Kay
Hasan, Hussain Ke Nana, Huzoor Jante Hain
Malaika Ne Kiya Youn To Sajda Adam Ko
Dar Asal Kis Ko Tha Sajda, Huzoor Jante Hain
Kahan Marein Gay Abu Jahal O Utba O Sheiba
Ke Jang E Badr Ka Naqsha, Huzoor Jante Hain
Woh Kitna Fasla Tha, Aur Kalaam Tha Kaisa
Aao Adna Aur Ma Aaoha, Huzoor Jante Hain
Milay Thay Rah Mein 9 Bar Kis Liye Musa
Yeh Deed E Haq Ka Bahana, Huzoor Jante Hain
Main Chup Khara Houn Mawaja Pay Sar Jhukaye Huye
Sunaoon Kaise Fasana, Huzoor Jante Hain
Chupa Rahe Hai Lagatar Mere Aiyboon Ko
Main Kis Qadar Houn Kameena, Huzoor Jante Hain
Khuda Hi Jaanay UBAID Unko Hai Pata Kiya Kiya
Hamein Pata Hai Bus Itna, Huzoor Jante Hain
Nahi Hai Zaad E Safar Pass Jin Ghulamoon Ke
Unhein Bhi Dar Pe Bulana, Huzoor Jante Hain
Haran Ne Oonth Ne Chiryoon Ne Ki Yehi Faryaad
Ke Unkay Gham Ka Madawa, Huzoor Jante Hain
Teri Aata Say Khudaya, Huzoor Jaante Hain
Nahi Hai Zaad E Safar Pass Jin Ghulamoon Ke
Unhein Bhi Dar Pe Bulana, Huzoor Jante Hain
Teri Aata Se Khudaya, Huzoor Jaante Hain
Main Unki Baat Karoun Yeh Nahin Meri Auqaat
Ke Shaan E Fatma Zahra, Huzoor Jante Hain
Teri Aata Se Khudaya, Huzoor Jaante Hain
Read More: Haale Dil kis ko Sunae Lyrics
Read More: 12 Rabi Ul Awal
Huzoor Jante Hain Naat Lyrics in Roman Urdu PDF Download
Who wrote the Naat of “Huzoor Jante Hain” Naat Sharif?
() written the Naat Lyrics of “Huzoor Jante Hain”.
Who is the Recite Naat of “Huzoor Jante Hain”?
( Owais Raza Qadri )Recite Naat of “Huzoor Jante Hain”
Who Campany Release Naat “Huzoor Jante Hain”?
First Release Naat “Huzoor Jante Hain”