Sahar Ka Waqt Tha Masoom Kaliyan Muskurati Thi Lyrics Naat Download Free and Naat Lyrics in Roman Urdu of Sahar Ka Waqt Tha lyrics Naat are provided in Three Languages. Mehmood Ul Hassan Ashrafi performs Sahar Ka Waqt Tha Naat with his renowned, melodic voice, which is adored by millions of listeners worldwide. In order for you to sync with the Naat lyrics, I’ve also embedded the YouTube video following the Best Naat lyrics.
Find The Lyrics to Your Favourite Naat Collection in Many Languages.
Sahar Ka Waqt Tha Naat Lyrics
Naat Name | Sahar Ka Waqt Tha |
Recite | Mehmood Ul Hassan Ashrafi |
Writer | Unknown |
Producer | Unknown |
Recorded | Unknown |
Category | Naat |
Released Date | Mar 5, 2018 |
Naat Lyrics and Translate Urdu Sahar ka Waqt Tha Masoom Kaliyan Muskurati Thi
Sahar Ka Waqt Tha Masoom Kaliyan Muskurati Thin
Hawayen Khair Maqdam Ke Tarane Gungunati Thi
Abhi Jibril (as) Bhi Utre Na Then K’abe Ke Member Se
Ke Itne Me Sada Aayi Hai Abdullah Ke Ghar Se
Mubarak Ho Shahe Har Dusra Tashreef Le Aye
Mubarak Ho Mohammad Mustafa (saw) Tashreef Le Aaye
Maula Ya Salli Wasalim Da-Iman Abadan
‘Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kulli Hi Mi
Muhammad Un Sayyidul Kawnaini Wa-Thakalain
Wal-Faree Qaini Min Urbin Wa Min-Ajami
Na Koi Aap Jaisa Hai
Na Koi Aap Jaisa Tha
Koi Yusuf (as) Se Poochhe
Mustafa (saw) Ka Husn Kaisa Tha
Zameen-o-aasman Me
Koi Bhi Misal Na Mili
Maula Ya Salli Wasalim Da-Iman Abadan
‘Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kulli Hi Mi
Durud Un Par Salam Un Par
Yehi Kehana Khuda Ka Hai
Khuda Ke Baad Jo Hai
Martaba Salle ‘ala (saw) Ka Hai
Wahi Sardar-e-‘alam Hain
Wahi Gham Khawar Ummat Hain
Wahi To Hashr Ke Maidan Me
Sab Ki Shifa’at Hain
Shifa’at Ke Liye Sab Ki
Nazar Un Par Lagi Hogi
Maula Ya Salli Wasalim Da-Iman Abadan
‘Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kulli Hi Mi
Salam Us Par Ke Jisne
Bekason Ki Dastagiri Ki
Salam Us Par Ke Jisne
Badshahi Me Faqeeri Ki
Salam Us Par Ke Jiske
Ghar Na Chandi Thi Na Sona Tha
Salam Us Par Ke Toota Boriya
Jiska Bichhona Tha
Salam Ae Aamna Ke Laal
Ae Mahboob Subhani
Salam Ae Fakhr-e-maujoodat
Fakhr-e-nuye Insani
Teri Soorat Teri Seerat
Tara Naqsha Tera Jalwa
Tawassum Guftugu Banda
Nawazi Khalqat-e-shani
Tera Dar Ho Mera Sar Ho
Mera Dil Ho Tera Ghar Ho
Tamanna Mukhtasar Si Hai
Magar Tamhid Qurani
Maula Ya Salli Wasalim Da-Iman Abadan
‘Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kulli Hi Mi
Read More: Haale Dil kis ko Sunae Lyrics
Read More: 12 Rabi Ul Awal
Sahar ka Waqt Tha Masoom Kaliyan Muskurati Thi Lyrics in PDF Download
Who wrote the Naat of “Sahar Ka Waqt Tha” Naat Sharif?
() written the Naat Lyrics of “Sahar Ka Waqt Tha”.
Who is the Recite Naat of “Sahar Ka Waqt Tha”?
( Mehmood Ul Hassan Ashrafi )Recite Naat of “Sahar Ka Waqt Tha”
Who Campany Release Naat “Sahar Ka Waqt Tha”?
First Sound Master Release Naat “Sahar Ka Waqt Tha”